By Kunal Chaudhary
Sukoon ke kuch pal
bas kuch pal
kamana chaahta hun,
sukoon ki ek fatti chadar hi sahi
odh kar kuch der ka araam chahta hun,
wo kuch pal nadaani ke
fir se jee lena chaahta hun,
bas sukoon ke kuch pal
bas kuch pal
kamana chaahta hun
Ek saans ho rahaton bhari
uski taaseer seene mein pa lena chahta hun,
duniya se hi nahi
khud se bhi dur ho jana chahta hun,
bas kuch pal sukoon bhare
kamana chahta hun
Zindagi bhar ki jaddo-jehad
iss pal ke liye nyochawar karne ko tyaar hun,
maa ki god
pita k haath ki chaun sa
sukoon fir ek pal ke liye chahta hun,
dimaag ki halchal ko nishabd
hone ka uphar dena chahta hu,
bas ek pal sukoon ka
chahta hun
bas ek pal sukoon ka
chahta hun
By Kunal Chaudhary
Comentários