By Deepanshu Sharma
Kuch ankahi si baat hai
Aaj sard mausam ki garm raat hai…
Woh jo pehli dafa tere hothon ki chhuan mere hothon par rahi
Aaj waise hi ho rahi aaj bin mausam barsaat hai
Aaj sard mausam ki garm raat hai…
Woh jo chandni raat mein jhronkhe se chaand ko niharte hue baat ki hai
Unn baaton ko kehne waale mere humdum mere ajeez ki mujhe zarurat hai
Woh jo tera pehli dafa mere kandhe par sar rakh kar rona
Mujhe apni bahon mein kass kar jakadna
Mere kandhe par tera pehli baar aansuon ko tapkana
Mujhe meri aane wali jeevan bhar ki zimmedarion se avgaat karana
Woh hi pal jeene ki aaj dubaara chaahat hai
Aaj sard mausam ki garm raat hai…
Woh jo tera mera haath pakad kar beparwah ghumna
Woh bike par mujhe kass kar pakadna aur mere kandhe ko chumna
Woh meri har ek galti par tera mujhe daantna samjhana
Woh jo meri parwah karte hue Cigarette pine se mujhe rokna
Sab kuch aaj ek khushnuma yaad hai
Aaj sard mausam ki garm raat hai…
Yeh toh bas bahaana hai mausam ka
Mujhe panno par utaarne apne dil mein umadte hue jazbaat hain…
By Deepanshu Sharma
Beautiful poetry ♥️
Niceeee
Wah wah