By Khan Firdous

Tha raja beta jo bachpan mein aaj gulam ho gaya.
Karte sabki khwaishon ko pura aaj wo khud kahi kho gaya.
Hai daulat agar to sab acha, warna to uspar awara hone ka ilzam ho gaya.
Hai behno ki padhai aur shadi ka kharcha,
Hai nazar ke saame maa baba ki dawaiyon ka parcha,
Kiya sab kuch na jane kaise fir bhi kuch reh gaya,
Aur jo reh gaya kuch bhi to sabki nazron mein nakaam ho gaya.
Thak chuka andar se lekin jo hausla kabhi toota to apnon mein hi badnaam ho gaya.
By Khan Firdous
Kommentare