top of page
Noted Nest

Meri Khwahish

By Rounak Kumar


Jab tha main akela or rota rehta tha raat bhar,

Diwaro ko sunata tha apni kahani or kehta tha unse ki mujhse baat kar

Haal dekh kar mera khuda na khaya akhir mujhpe rehem,

Khudko samajhta tha akela usne tod diya mera ye bhi wehen

Fir ek roz subah ki pehli kiran ke sath kisi haseen ka khwab aya,

Mano jis sawal ne sata rakha tha mujhe usi sawal ka jawab aya,

Esa lagne laga uske aane se jaise mano…..

Patjhar ke mausam me har or usne fool khila diya,

Ek pyas ko tadapi thi zameen meri or usne aj ise pani se mila diya,

Banjar pare zameen ki bhi aj pani se mulaqat hui,

Arso baad hi tha ye jab is dil ke registaan me bhot zoro ki barsaat hui,

Bhigkar hona chahta hu bimar uski barish me or chahta hu is bimari ka ilaj na ho,

Aj to kar lene de Dil ki mujhe kya pata fir mere paas Aaj na ho,

Tairna nahi aata mujhe uski ankhon me aksar doob jata hu,

Bistar pe pare rehne wala shakhs main aj kal uski galiyon me khoob jata hu,

Dikhti wo chand se behtar hai or mere liye to Suraj se bhi jyda zaruri hai,

Uske bina hu to akela main mere bina bhi wo kuch adhuri hai,

Kya likhu uske bare me uski muskurahat me khud ko khone laga hu,

Bhot koshish ki khud ko rokne ki par fir ek dafa uska hone laga hu,

Dil karta hai ki kahu unse ki

Wo to aapse hui hai yahi wajah hai warna mohabbat itni khubsurat nahi hoti,

Sahi suna aapne mohabbat hi hai aap warna itni zaruri kisi ki zarurat nahi hoti,

Aapse kuch alag hi naata hai mera warna koi rishta itna paak nahi hota,

Or kisi ki likhawat hai jo dobara mile hai hum warna hum jaiso ki zindagi me aisa

haseen ittefaq nahi hoti.


By Rounak Kumar



2 views0 comments

Recent Posts

See All

Rain Drops

By Farinu Rain O Rain  As your drops met my eyes  You remind my past time Sitting in my couch  I see you fall from the sky  Your...

Clothes

By Snigdha Synchronizing with the current scenario of the society I've written this piece for every woman who faces these horrors every...

Comments


bottom of page