By Rounak Kumar
Kyu nahi bhula sakta main tujhe kya itna zaruri hai tujhe talash karna?
Kyu zaruri hai shiddat se chalna har roz Teri or fir tujhse na milkar baar baar dil ko
hatash karna….
Akele hi to behtar hu main fir bhi kyu zaruri hai tadap kar har roz tera ehsaas karna….
Malum hai mujhe duniya to farebi hai fir bhi kyu zaruri hai mera tujhpe har dafa vishwas
karna……
Mohabbat rakh mujhse ya mar de mujhko,nafrat kar mujhse ya samet le mujhko ….
karle apni dil ki par mere dil ke paas karna…..
Waqif hu main haqeeqat se ki tu nahi aane wali dobara fir bhi jab koi kehta hai ki agar
wo aa gayi to? To kyu zaruri hai meri ankhon ka nam ho jana or kyu zaruri hai mere
hothon kaash karna….
By Rounak Kumar
Comments