By Rounak Kumar
Na koi samajhta hai Chaand hume na kisi ko hamari ankhon me pyar dikhta hai,
Aate hai log mehaz istemal karne unhe to har dil me vyapar dikhta hai,
Koi nahi dikhta esa jo toofani raton me hamara intezar kare,
Koi nahi dikhta esa jo duniya ki nafrat se bacha le hume or har dafa humse pyaar kare,
Koi to bata de ki ankhon me ye ishq ka dariya lekar jana kaha hai,
Koi to bata de ki ye jo beintehaan ishq hai ise jatana kaha hai,
Par ab dil nahi karta…..
Na to kisi ki chah rakhte hai na hi kisi ko pyar karte hai,
Na to dhundhte hai kisi ko na hi kisi ka intezar karte,
Mubarak ho bedard jahan ke logo ab hum bhi dilo se vyapaar karte hai
By Rounak Kumar
Comentarios