By Hitesh Narula
Chhod aya woh sheher, jahan har peher samay dhaudta hai,
Wahan apnon ke beech bhi, kuch paraya sa lagta hai,
Yahan har khushboo mein bhi, ek yaad hai samati,
Yahan hawaein bhi koyi, jaani pechani si dhun hai sunati,
Har mohale ki basti, apni ek kahani hai chhupati,
Yahan majbooriyaan bhi insaan ko, hasna nahi bhulati,
Ek muskaan kharch kar, yahan kaafi kuch milta hai,
Inn benaam se cheheron mein, mujhe kuch apna sa lagta hai..
By Hitesh Narula
Comments