By Shaikh Mohammed Yasin
Ek chhath ke neeche bikhra ek
zamaana tha
Do lafzon ke darmiyaan unsuna ek
fasaana tha
Samaj ka kasoor kahun ise ya
nazar ki bagaawath
Be-hisab koshishen jo theen, chunli
dil ne adhaawath
Paamaal-e-waqt tha mai be-inteha
waqt ka
Jaise kuchal raha ho saya mujhko
mere hi taqt ka
Shiddath ab khud ilm dene lagg rahi
thi kasrathon ki
Gehre samandar me par kashti
doob rahi thi hasrathon ki
Naaqis tha junoon aur alfazon pe
rang’ge thevar the
Beghar mehel the khade aur
pheeke pade zewar the
Raoshni se karza le raha tha
chaaun ka, mai be-ghar
Guzre huve har lamhe ki chotisi ek
lagaan de kar
Gaane ke liye baitha tho naseeb ka
yahi tharaana tha
Ke chhath ke neeche bikhra pada
apna hi zamana tha.
By Shaikh Mohammed Yasin
Commentaires