By Vutukuri Deepika
Aasu tumne meri saath tab Diya jab mere aankhon ke samne poori duniya hai par saath khada karne wala koyi bhi nhi tha,
Wo badal ki tarah mere aankhon se baras ne lage ho aise jaise ganga hi mano mere aankhon se beha raha ho,
Mujhe tab chua jab mujhe sabse zyada gale lagne ki zarurat thi,
Ek aasu hi tha jisne mere upar aaroph nhi lagaya balki mujhe samjha aur mere saath kadha tha,
Ek aasu hi hai jo man ko halka karta hai,
Man ki choth pe marham lagata hai,
Rona kabhi kisi ka kamjori nhi tha,
Jo roo na saka wo bhi kamjor hai ye duniya kyu nhi samjhti?,
Kabhi sun na rone ke baad chehra pe ek chamak aayi aur aankh saaf hua?
Kyuki wo aasu man ke gham ko halka karta hai aur aankhon ko sahi rah dikhati hai,
Aasu bhagwan ka diya ek bhavna hai,
Jab koyi cheez man ke sehan shakti se bahar ho tab aasu behate hai chahe wo dukh ka aasu ya khushi ka,
By Vutukuri Deepika
VERY GOOD
Good
Good
Super
Very good