By Rashid Zahid Sarang
This poem is a piece for on-stage performance where the audience have to ask the question “jese?” whe the poet stops and the poet will continue
Kai kaam abhi bhi adhure hai mere (jese) humaari baatein,
kai khwaahish adhuri hai meri (jese) humara milna;
Chaand ke mehtaab me bethke ghanto jise apni shaayari me sajaaya wo ho tum! Mere saalo ke sabar ka anjaam ho tum! Meri aazmaisho ko har pal paar kar dene ka hausla ho tum! Mujhe tumse koi aashiqi nahi hai par mai aashiq hu tumhara aur meri mohabbat ho tum!
Reference from Devdas, when Madhuri Dixit says, “Pyar aatma hai, Ishq Ishwar Ki Ibadat aur Mohabbat Jeene Ka Maqsad”.
Mere sawaal to bahot hoge tumse, bas pehle itna bata do mere baare me kya sochti ho tum?
Sadly, the answer is “NO”
Shaayad meri zindagi ki ek aur adhuri kahaani ho tum!
shaayad ye daur wo hai jisme mai jo bhi kar lu mujhe kai cheeze peeche chodni hogi (jese) tum!
By Rashid Zahid Sarang
Comments